انجری پروٹیکشن

Aap aazaad hain, lekin aap akele nahi hain.

Kabhi kabhar sab se mahfooz driver hazraat ke sath bhi sarak par haadsaat dar-peish aa jate hain. January 1, 2019, se agar Uber par safar karte waqt, doraan-e-safar aap ke saath koi haadsa dar-peish aata hai tou, aap ki maali imdaad (bashamool hungami tibbi elaaj aur aamdani ka nuqsan) se azaala kiya jata hai.
Chubb ki yeh bema Uber aap se koi muaa’wza liye baghair ada karta hai.
Doraan-e-safar ab aap kisi bhi haadsay ki soorat mein mehfooz hain.

Main is beema ko kaise haasil kar sakta hoon?
Agar aap kisi haadsay se do-chaar ho jaate hain, tou mandarja-zail tareekar-kaar ke zariye dawa kar sakte hain:

* Uber ko Uber App ke zariye (Jo maloomat aap faraham Karein ge uska tabaadala Chubb ke sath bhi kiya ja sakta hai
* pakistan@Chubb.com par email bhaij kar
*+92 21 111789 789 / 0800 54321 par call kar kay
The Executive Secretary Chubb Insurance Pakistan Limited 6th Floor, NIC Building Abbasi Shaheed Road Off Shahrea Faisal Karachi 74400

Safar ke doraan haadsay ki soorat main darj-zail hai:
Hungaami naqad raqam ki farahami
Haadsaati maut ya mazoori
Haadsay ke baad hungami tibbi elaaj (ek mehdood raqam)
Rozana adaigi ka wazeefa, agar aap zakhmi hain aur haadsay ke baad mehdood dinon ke liye gaari chalaane se qasir hain.