Mera karaya shuru mein dikhaye gaye karaye say zaida hai

Safar ki darkhuast kay waqt Upfront karaya ka hesaab, faslay, traffic aur Uber ki demand ko dekh kar lagaya jata hai.

Baaz auqat mundarjah zail wajoohat ki bina par aapko dekhaya gaya Upfront karaya tabdeel ho sakta hai:

Pickup aur Destination mai tabdeeli: Agar apki muntakhib ki gai pickup ya destination mai tabdeeli hoti hai tou aapka karaya asal safar kay waqat aur faslay ki bunyaad par kia jaye ga.

Rastay mai tabdeeli: Agar apka driver Uber aap ka bataya gaya rasta ikhtiar nahi karta ya duran-e-safar koi stop hota hai hai tou apka karayae mai izafi tey karda faslay ki bina par tabdeeli ho sakti hai.

Ziayada Traffic: Ziyada traffic ki wajah cey waqat ziyada lag sakta hai aur apkay driver ki izafi waqat ki talafi karnay ki bina par apka karaya tabdeel ho sakta hai.

Agar apko shuba hai kay karaye mai tabdeeli ghair munsefana hai tou hamein yaha batein.